Sunday, February 25, 2007

Deewanagi


Is Had Tak Dewaangee Kyon Hai Aakhir Kyon Hai
Wo Shakhs Meri Zindagi Kyon Hai Aakhir Kyon Hai.

Sara Din Us Se Hi Karte Rahe Hain Baatein Hum
Kai Baatein Ankahi Kyon Hai Aakhir Kyon Hai.

Kai Basant Umra Ke Ba-Hosho-Hawas Tai Kiye
Aaj Magar Ye Bekhudi Kyon Hai Aakhir Kyon Hai.

Chand Dino Ke Saath Ne Hontho Ko Teekhi Pyaas Diye
Musalsal Ik Aag Si Kyon Hai Aakhir Kyon Hai.

Sabhi Chehron Ka Jabki Alag-Alag Wajood Hai
Sabhi Chehron Me Wahi Kyon Hai Aakhir Kyon Hai

दीवानगी

इस हद तक दीवानगी क्यों है आखिर क्यों है
वो शख्स मेरी ज़िन्दगी क्यों है आखिर क्यों है

सारा दिन उससे ही करते रहे हैं बातें हम
कई बातें अनकही क्यों है आखिर क्यों है

कई बसंत उम्र के बा-होशो-हवास तय किये
आज मगर ये बेखुदी क्यों है आखिर क्यों है

चंद दिनों के साथ ने होंठो को तीखी प्यास दिए
मुसलसल इक आग सी क्यों है आखिर क्यों है

सभी चेहरों का जबकि अलग-अलग वजूद है
सभी चेहरों में वही क्यों है आखिर क्यों है

Musalsal- Lagatar/Barabar, Ba-Hosohawas-Sudh Budh Ke Saath, Bekhudi-Sudh Budh Khona.

Toot te Rahe Hain Sada


Toot te Rahe Hain Sada, Wo Toot te Rahenge
Roz Kai Dilon Ke Nishan, Mit te Rahenge.

Khwahishon Ki Fehrisht Badhti Jaayegi
Mayoosiyon Ke Saanp Danste Rahenge.

Dard-E-Dil Ki Dava Mat Talash Karo
Ye Zakhm Gehre Hain Dukhte Rahenge.

Jaaiye Ke Chraanghon Ke Nabz Doobne Lage
Kab Tak Bhala Aap Yoon Hi Jagte Rahenge.

Sakht Hai Bejaan Hai Waqt Magar Wo Aayega
Gul Sukh Jayenge, Guldaste Rahenge.

Aaine Se Aks Mita Bhi Do Agar
Hum Teri Parchhaai Hain, Hanste Rahenge.

Woh Ek Pal Jahan Se Saath Chhoota Aapka
Woh Pal, Pal-Pal Mujhe Danste Rahenge.

Lakh Tum Ghazlein Karo, Ya Karo Shayri
Zahar Jo Mann Me Aa Base, Chubhte Rahenge.

Fehrisht-Suchi (List), Charagh-Deepak

Kamee Khal Rahi Hai


Zindagi Jaise Chal Rahi Hai Chalti Rahegi
Aapki Kamee Khal Rahi Hai Khalti Rahegi.

Khinch Liya Haathon Se, Kya Hua Jo Haath
Khwahish Jaise Pal Rahi Hai Palti Rahegi.

Dhalte Dhalte Ye Jism, Khandhar Ho Jayega
Ek Shama Si Jal Rahi Hai Jalti Rahegi.

Roshan Aankhon Mein Taare, Jalte Bujhte Jayenge
Shaam Jaise Dhal Rahi Hai Dhalti Rahegi.

Zindagi Ko Hum To Dete Jaayenge Dua
Zindagi Humein Chhal Rahi Hai Chhalti Rahegi.

Roop


Fizan Mein Bikhra Roop
Mann Me Yoon Utra Roop
Chand Aadha Lage
Chand Ka Tukda Roop.

Pashema Aaina Bhi
Damakta Gehra Roop
Tumne Hans kar Dekha
Chand Ka Nikhra Roop.

Nazar Dekhe Jis Dum
Udhar Hai Chhitra Roop
Kare Aangan Roshan
Shafique Sunehra Roop.

Unwaan Nazmon Ka
Ghazal Ka Misra Roop
Pyaas Hai Janmo Ki
Magar Hai Qatra Roop.

Mere Shabistan Mein
Der Tak Thahra Roop
Tareeq Rahon Mein
Door Tak Pasra Roop.

Unwan- Shirsak, Misra- Pad/Chand Ka Charan,
Pashema- Sharminda, Shabista- Shayankhash.

Meri Na Thi


Jana Uski Marzi Thi Bebasi Katai Na Thi
Mere Liye Wo Sab Kuchh Thi Magar Meri Na Thi.

Toote Mann Ka Tikhapan Tumko Samjha Pate
Samajh Ki Meri Dhar Kabhi Itni Paini Na Thi.

Mere Khuda Tumne Jo Jeevan Tha Bakhsa Mujhe
Yun To Sab Tha Usme Bas! Zindagi Na Thi.

Khone-Pane Ke Daur Se Aage Badh Chuke Hain Hum
Safar Aasan Tha Bahut Rahgujar Achhi Na Thi.

Ek Udaas Shaam Ne Poocha Mujhse Haal Mera
Keh Diya Is Se Pehle Haalat Aisi Na Thi.

Bakhsa- Pradan Kiya.

Mushkil

Sadma

Bachaao

Khoya-Khoya

Prashna (The Question)

Aate Nahin Magar

Bahal Jata Hai

Katra

Zamaanat

Sara Aakash

Kayee Kyee Chehre

Meethi Nazron Ki Zehar

Agar

Deewangee - Part II

Mrigtrishna

Ek Wakya

Mera Chand - Tumhara Chand

Talash

Sukoon-e-Dard

Chhan-Chhan Boondein
Tap-Tap Aansoo
Kaun Sakht Hai
Kaun Tez Hai
Kaun Samajh Payega?

Dard Sulagta
Zakhm Lahakta
Kaun Mera Hai
Kaun Tumhara
Kise Samajh Aayega?

Gehri Khamoshi
Madham Sargoshi
Kaun Abhi Hai
Kaun Nahin Hai
Koi Kya Samjhayega?

Nazron Ki Taskeen Ke Liye
Ik Zara Sa Haath Apna
Meri Peshani Per Rakh Do
Rakh Do Sulge Jazbon Per
Ehsaas Apne Honthon Ka.

Aa Ke Mujhe Choo Lo Zara.

Sukoon-E-Dard - Peeda Ki Shanti, Taskeen-Tushti.

Sambal

Halaat

Do Baje - 2 PM Night

Guftagoo

Aakhiri Ladaai

Vaadakhilafi

Tahleel

Shikayat

Intezaar

Panah

Maanjhi

Jwalamukhi

Aansoo

Zerb

Shaam

Bauna

Sarakte Saye

Tumhari Yaad

Dua

Vishwas

Samarpan

Firaaq

Katran

Sargoshiyan


Muntazir Bahon Mein Simat
Pursukoon Sargoshi Se
Tumne Jab Tha Yeh Kaha
Aaj Aapki Jaan*
Gayee Sada Ke Liye.

Yaad Hai Kya Tumhe
Makhmali Rukhsaron Par
Ehsaas Honthon Ka Rakh Kar
Maine Kaha Tha Tumse
Aaj To Aayee Hai
Paas Mere Jaan Meri.

Jis Dum Tumne Baahein Khol
Mrrmari Jism Ko
Seene Se Simta Liya
Sadiyon Ke Intezaar Ko
Us Lams-A-Taveel Ne
Vekran Voosat Diya.

*Mehbooba Ke Arth Mein, Muntazir – Pratiksharat, Pursukoon – Shantipurn, Rukhsar – Kapol, Dum – Pal, Lams-E-Taveel, Lamba Sparsh, Vekran – Anant, Vusat - Vistaar

Visaal


Sulga Kar Armaanon Ko, Muddat Se Tarse Seene Mein
Chali Gayee Bhaate Sa, Tat Ko Adhoori Aas Diye
Pal Bhar Ke Milan Mein Is Se Jyada Kya Kar Paate
Pyas Diye-Pyas Liye, Pyas Diye Aur Pyas Liye

Noor Ki Chaadar Par Ek Chehra Jhilmil-Jhilmil
Daaman Mein Taare Lapete, Bholi Soorat Nazrein Kaatil
Liptee Aaj Seene Se Mere Saara Akaash Liye

Hasabkhwab Zindagi Layee Baahon Mein Meri
Lekar Adaayen Dilnasheen Woh Khubsoorat Pari
Chamki Mere Jeevan Mein Chandni Ki Ujaas Liye

Nazron Ne Dho Daaleen Dil Pe Padi Salwatein
Khwab Bunane Lagin Gungunatin Karvatein
Doobti-Ghoolti Honthon Ko Paas Bahut Paas Liye

Pal Bhar Ke Milan Mein Is Se Jyada Kya Kar Paate
Pyas Diye-Pyas Liye, Pyas Diye Aur Pyas Liye.

Visaal - Milap/Milna, Hasbkhwab - Jaisi Chaahat Ho.