Monday, January 29, 2007

Visaal

Visaal

Sulga kar armaanon ko, muddat se tarse seene mein
Chali gayee bhaate sa, tat ko adhoori aas diye
Pal bhar ke milan mein is se jyada kya kar paate
Pyas diye- pyas liye, pyas diye aur pyas liye

Noor ki chaadar par ek chehra jhilmil-jhilmil
Laaman mein taare lapete, bholi soorat nazrein kaatil
Lipti aaj seene se mere saara aakaash liye

Hasabkhwab zindagi laayee bahon mein meri
Lekar adaayen dilnasheen woh khubsoorat pari
Chamki mere jeevan mein chandni ki ujaas liye

Nazron ne dho daalin dil pe padi salwatein
khwab bunane lagin gungunaatin karvatein
Doobti-ghoolto honthon ko paas bahut paas liye

Pal bhar ke milan mein is se jyada kya kar paate
Pyas diye- pyas liye, pyas diye aur pyas liye.


click to see full size image & right click to set as wallpaper.