Chali Gayee Bhaate Sa, Tat Ko Adhoori Aas Diye
Pal Bhar Ke Milan Mein Is Se Jyada Kya Kar Paate
Pyas Diye-Pyas Liye, Pyas Diye Aur Pyas Liye
Noor Ki Chaadar Par Ek Chehra Jhilmil-Jhilmil
Daaman Mein Taare Lapete, Bholi Soorat Nazrein Kaatil
Liptee Aaj Seene Se Mere Saara Akaash Liye
Hasabkhwab Zindagi Layee Baahon Mein Meri
Lekar Adaayen Dilnasheen Woh Khubsoorat Pari
Chamki Mere Jeevan Mein Chandni Ki Ujaas Liye
Nazron Ne Dho Daaleen Dil Pe Padi Salwatein
Khwab Bunane Lagin Gungunatin Karvatein
Doobti-Ghoolti Honthon Ko Paas Bahut Paas Liye
Pal Bhar Ke Milan Mein Is Se Jyada Kya Kar Paate
Pyas Diye-Pyas Liye, Pyas Diye Aur Pyas Liye.
Visaal - Milap/Milna, Hasbkhwab - Jaisi Chaahat Ho.
No comments:
Post a Comment